Showing posts with label ROMAN URDU POETRY. Show all posts
Showing posts with label ROMAN URDU POETRY. Show all posts

Rooh ki zameenOon par aik aJeeb aalUm hay

Rooh ki zameenOon par aik aJeeb aalUm hay
 
Rooh ki zameenOon par aik aJeeb aalUm hay
Dard aUr Tamanna main Fasla nahi Milta?.!!
SougawaR loGoon ki,BayqaRaar loGoon ki?!!
Zindagi main kOi bhi ZaBta nahi milta??..!!

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga
Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga
Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga
Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga
Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga?!!!

Toot jaye na bharam hont hilaon kaise

Toot jaye na bharam hont hilaon kaise,

Toot jaye na bharam hont hilaon kaise,
Hal jaisa bhi ho logon ko sunaon kaise,
Khushk aankhon se bhi ashkon ki mehak aati hai,
Mai us k ghm ko zamane se chupaon kaise,
Phool hota to mai us k dar pe saja bhi deta,
Zakham le k uski dehleez pe jaon kaise,
Wo rulati hai to jee bhar k rulaye mujhe,
Lakin,
WO meri aankhen hai,
Mai usko rulaon kaise?

Hamaari dastaan poori sunaa na namahbar, lekin..

Hamaari dastaan poori sunaa na namahbar, lekin..

Hamaari dastaan poori sunaa na namahbar, lekin..
Wahan se rukh palat dena jahan maathay pe bal aaye?

Jab main tumhein nishaat-e-muhabbat na de saka

Jab main tumhein nishaat-e-muhabbat na de saka
 
Jab main tumhein nishaat-e-muhabbat na de saka
Ghum mein kabhi sukoon-e-rafaaqat na de saka
Jab mere saare charaag-e-tamanna hawaa k hain
Jab mere saare khawab kisi bewafa k hain
Phir mujhe chahne ka tumhein koi haq nahin
Tanha karahne ka tumhein koi haq nahin

Katoon si chubhti hai Tanhai

Katoon si chubhti hai Tanhai

Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai
Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rota hoon rone lagti hai Tanhai
Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai
Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sota sone lagti hai Tanhai
Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jata hoon jab khone lagti hai Tanhai

Dil ki CHokhat PE jo Ik Deep Jala Rakha hai

Dil ki CHokhat PE jo Ik Deep Jala Rakha hai
 
Dil ki CHokhat PE jo Ik Deep Jala Rakha hai ,
Tere Lout ane Ka Imkan Saja Rakha hai,
Sans tak bhi nahi lete hain tujhe,
Sochte waqt hum ne is kaam ko bhi kal pe Utha rakha hai,
Ruth jate ho tu Kch or haseen lagte ho,
Hum ne yeh soch ke hi tum ko khafa rakha hay,
tum jisse rota hue chor gaye the ek din,
hum ne is shaam ko seeney se laga rakha hay,
chain layne nahin deta yeh kisi tor mujhe,
teri yadon ne jo toofan utha rakha hay,
jane wale ne kaha tha ke wo lotay ga zarur ik issi aas pe
Darwaza Khula rakha hai ,
terey jane se jo ik dhool uthi thi ghum ki,
Hum ne is dhool ko ankhoun me bassa rakha hai,
mujh ko kal shaam se woh yaad buhat ane laga,
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai,
akhri bar jo aya tha mere naam wasi,
main ne us khat ko kalaije se lagha rakha hai

Tor kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaayiye

Tor kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaayiye
 
Tor kar ahad-e-karam naa-aashanaa ho jaayiye
Bandaa paravar jaayiye achchhaa Khafaa ho jaayiye
Raah men miliye kabhii mujh se to azaraah-e-sitam
HoNTh apane kaaT kar fauran judaa ho jaayiye
Jii men aataa hai ke us shoKh-e-taGaaful kesh se
Ab na miliye phir kabhii aur bevafaa ho jaayiye
Haaye re be-iKhtiyaarii ye to sab kuchh ho magar
Us saraapaa naaz se kyuuN kar Khafaa ho jaayiye

KIA TUM B . . .?

*KIA TUM B . . .?


*KIA TUM B . . .?
Sham ki dahleez pe aas ka deep jalatay ho . .
Or kisi awara patte ki ahat pr,
Darwaze ki tarf bhaage jate ho . .
KIA TUM BHI . . ?
Dard chupane ki koshish krtay krtay . .
Aksar thak se jatay ho . .
or
bila waja muskaratay ho . .
KIA TUM BHI . . ?
Neend se pahele palkoun pr . .
Dheroun khuwab sajatay ho. .
Ya phir bistar pr late kr ,
Rotay rotay so jatay ho . .
KIA TUM BHI. . .?

Arz-e-Matlab Ka Adhura Silsila Rehny Dia

Arz-e-Matlab Ka
 
Arz-e-Matlab Ka
Adhura Silsila Rehny Dia
Dastan Keh Di
Bayan-e-Mud?da Rehny Dia
Sirf Itna Yaad Hy Dastak
Hui Thi Ek Bar
Zindagi bhar Dil Ka
Darwaza Khula Rehny Dia

rok lo qadam jee bhar ke dekhlo

rok lo qadam jee bhar ke dekhlo
 
rok lo qadam jee bhar ke dekhlo
hamara tumhara saath bas yahin tak tha
manzil mile na mile ab hamari kismat
ke zindagi ke saath safar bas yahin tak tha
tum chal nahi sakte is se aage ek qadam
ruk jao ke phoolon ke chaman yahin tak tha
aage arahe hain gham mujh se milne gale
ke apni khushiyon ka thikana bas yahin tak tha
uttho aur naye hamraahi talash karo
ke yeh khuwaab suhana bas yahin tak tha

Yeh daagh daagh ujaala, yeh shab gazida sahar

Yeh daagh daagh ujaala, yeh shab gazida sahar

Yeh daagh daagh ujaala, yeh shab gazida sahar
Woh intizaar tha jis ka, yeh woh sahar to nahin
Yeh woh sahar to nahin jis ki aarzoo lay kar
Chaley tthey yaar key miljaegi kahin na kahin
Falak kay dasht mein tarron ki akhiri manzil
Kahin to hoga shab-e-sust ghum ka saahil
Kahin to jakey lageyga safina-e-ghum-e-dil

Shabnami Raat ho aur her taraf Andhera ho

Shabnami Raat ho aur her taraf Andhera ho
 
Shabnami Raat ho aur her taraf Andhera ho
Ek chadar main lipte Do Badan, ek Tera ho ek Mera ho
Tere Makhmali badan main, Khushbuon k Chaman main
Sadiyon tak wo Raat chale, Sadiyon door Sawera ho
Tere Hoton ko jab sil doon Main, apne Hoton k Dhaage se
Ek Sannate main Khamoshi se, Teri Bhaahon ne Mujh ko Ghera ho
Dono Lipte ek Dooje main, ek Gaanth si lag jaaye Badanon main
Mere Jism main Ghar mil jaye tujhe, Tere Jism main Mera Basera ho
Dil kehta hai kuch aisa ho, Tu ban jaye Main, aur Main ban jaon Tu
Bister per Tere Mere siwa, sirf Junoon or Khamoshi ka Dera ho

Tum keh daina koi khaas naheen

Tum keh daina koi khaas nahee?n?!

Tum keh daina koi khaas nahee?n?!
Koi tum say poochay kaun hoo?n mai?n?
Tum keh daina koi khaas nahee?n?
Ek daust hay kacha pakka sa?
Ek jhoot hay aadha sacha sa?
Jazbaat ko dhaa?npay ek parda?
Bas ek bahaana acha sa?
Jeevan ka aisa saathi hay?
Jo door na ho kar pass nahee?n?
Koi tum say poochay kaun hoo?n mai?n?
Tum keh daina koi khaas nahee?n?!

Yahaan apni apni baari par!

Yahaa?n apni apni baari par?!

Yahaa?n apni apni baari par?!
Yahaa?n apni apni baari par?
Sab ha?nstay hai?n?
Sab rautay hai?n?
Dil to sab k hee hotay hai?n?
Dukh bhi sab ko hotay hai?n?
Kuch ashk dilo?n par girtay hai?n?
Kuch matti may mil jaatay hai?n?
Kuch lafz adaa ho jaatay hai?n?
Kuch ho?nto?n may sil jaatay hai?n?
Maana k adhooray rehtay hai?n?
Par khuwaab to sab k hotay hai?n?
Kuch kho kar bhi paa laitay hai?n?
Kuch paa kar bhi kho daytay hai?n?
Yahaa?n apni apni baari par?
Sab ha?nstay hai?n?
Sab rautay hai?n?!

Kabhi jo hum nahee?n hon gay

Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?!


Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?!
Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?
Kaho kis ko bataao gay?
Woh apni uljhanai?n saari?
Woh bay-chaini may doobay pal?
Woh aankho?n may chhupay aa?nsu?
Kisay phir tum dikhao gay?
Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?
Bohot bay-chain ho gay tum?
Bohot tanha reh jao gay?
Abhi bhi tum nahee?n samjhay..!
Humaari an-kahi baatai?n..!
Magar jab yaad aaey?n gay?
Bohot tum ko rulaey?n gay?
Bohot chaaho gay phir bhi tum?
Humai?n na bhool pao gay?
Kabhi jo hum nahee?n ho?n gay?!

Dil magar kam kisi say milta hay?

Dil magar kam kisi say milta hay?!


Dil magar kam kisi say milta hay?!
Aadmi, aadmi say milta hay?
Dil magar kam kisi say milta hay?
Bhool jaata hoo?n mai?n sitam us k?
Woh kuch is saadgi say milta hay?
Aaj kya baat hay k phoolo?n ka?
Rang tairi ha?nsi say milta hay?
Mil k bhi jo kabhi nahee?n milta?
Toot kar dil usi say milta hay?
Rooh ko bhi maza mohabbat ka?
Dil ki hum-sa?igi say milta hay?
Karobaar-e-jahaa?n sa?nwartay hai?n?
Hosh jab bay-khudi say milta hay?
Dil magar kam kisi say milta hay?
Aadmi, aadmi say milta hay?!

Yehi aarzoo rahi umr bhar k muhabbaten mery saath hon

Yehi aarzoo rahi umr bhar k muhabbaten mery saath hon

Yehi aarzoo rahi umr bhar k muhabbaten mery saath hon
kabhi aesa ishq nahin kiya k nadaamten mery saath hon
koi aesa harf nahin likha k ho sharm saar qalm mera
koi aesa jurm nahi kiya k wazahten mery saathon
faqt aik shakhs ki aarzoo m guzar rahi hai yeh zindagi
yeh talab nahin k tamaam sheher ki chahten mery saath hon
jo main jaagta hoon to is liye k kisi ko neend ot aasaky
meri subh us p nisaar ho meri zulmaten mery saath hon
main kisi adalat-e-ishq main?ae mery khuda?rahoon sur kuroo
kaf-e-dast par mera dil rahy?meri tohmaten mery saath hkon
yeh nahin k rah m jo mily usy hamsafar hi banaoon
jo tamaam umr nabha saken woh rafaqten mery saath hon
mujh rasmi sa mel jol?pasand hi nahin jan-e-man!
main yeh chahta hoon k jo tu mily?meri wehshaten mery saath hon

Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey

Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey

Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey
Ye fasane, ye maqaley to nahi kar saktey
Roshni chahiye lekin isi ik skauk mai ham
Ghar ko sholo?n k hawaley to nahi kar saktey
Noor ki rah mai deewar utthane waley
Qaid suraj k ujaley to nahi kar saktey
Raig e sehra hi sunaye gi safar ki roodad
Guftugu pao?n k chhaley to nahi kar saktey
Kaise aashiq hain k khush hain teri ruswai par
Yoo?n kabhi chahney waley to nahi kar saktey
Bad ghuma?n ham se hain kutch laug to majboor hain ham
Saaf har zehn k jaley to nahi kar saktey?!!!

Door Reh kar kareeb kitnay thay

Door Reh kar kareeb kitnay thay,

Door Reh kar kareeb kitnay thay,
Faslay bhi Ajeeb kitnay thay,
Dard-E-Dil ki Dawa nahi warna,
Is jahan mein Tabeb kitnay thay,
Umer bhar Sath jo raha Tere,
Us k Achay Naseb kitnay thay,
Kyun na Aai me Tere sapno mein,
Mere Shikway Ajeeb kitnay thay..!!